Chawal Khane Ke Fayde Aur Nuksan In Hindi Chawal Ke Aate Ke Fayde Rice Benefits In Urdu

Chawal Ke Fayde Aur Nuksan Chawal Ka Pani Peene Ke Fayde


Rice Benefits and Side Effects


Cholesterol Kam Karne Ka Tarika In Urdu


Sehrish puchti hain mujhe chawal bohat pasand hain magar hamare ghar mein inka sirf dawat par ehtamam hota hai. Ammi keht hain chawal mota karte hain sehat k liye mufeed nahi. Please mujhe chawalon k baray mein zaror batayen takay main ami ko chawalaon k faiday ginwa sakon inke faide to zaroor honge. Meri kuch saheliyan Kashmiri hain wo jab mujhe batati hain k aaj chawalon k sath hum ne ye khaya bara maza aya to mera bhi dil chahta hai kay chawal khaon.

Sehrish bibi chawal to jaldi hazam hone wali ghiza mein shumar kiye jate hain. Kuch bimariyan aisi hain jin mein nuqsan karte hain. Agar doctor chawal khane se mana kare to aap beshak na khayen wesy naye chawal dair se hazam hote hain. Isi tarah chawalon ko bar bar pani se nahi dhona chahiye aur pakate waqt bhi itna pani dalna chahiye kay wo dum par aa jayen. Naram bhi na hoon. Naye chawal 6 mah bad pakaye jayen to wo sahi pakte hain.
Chawalon se chiknai bhi nahi hoti cholesterol aur namak bhi kam hota hai. Hamare haan pait ka masala theek na ho to ghar mein moong ki daal chawal ki patli khichri pakti hai in nanhe munne chawalon mein Vitamins aur madni ajza bhi hain. Phosphorus aur potassium bhi hai. Ye jaldi hazam ho jate hain isliye sheer khawar bachon ko bhi chawal mash karke khilaye jate hain.


Rice Ka Pani Pine Ke Fayde Chawal Ka Pani Peene Se Kya Fayde Hote Hain

Pait mein tezabiyat ho to wo bhi door ho jati hai. Is mein protein bhi hai. Vitamin B complex bhi shamil hai. Garmiyon mein baaz dafa nanhy sheer khuwar doodh peete bachon ko pyas ho jati hai inko chawal k mar maray pani mein bhigo kar pani pilate hain. 2 tablespoon mar mary 1 cup pani mein bhigo dete hain wo phool jate hain to phir thora thora pani bachy ko dete hain.
Chawal k marmaray meethi khelon tabashay wali dukanon se mil jate hain inko nimko mein bhi mila sakte hain. Karhi k sath chawal shaljam gosht k sath, palak gosht k sath chawal ache lagte hain. Hypertension k mareezon k liye bhi chawal achi ghiza hai chawal k aate se firni banate hain chawal doodh peene wale bachon k liye kheer mein bhi dalte hain.

Comments

Popular posts from this blog

Aankhon Ka Phadakna Kya Hai Eye Twitching Causes and Facts Aankhon Ka Fadakna Haqeeqat aur Ghalat Fehmiyan

Hips Badhane Ki Cream Hips Mote Kaise Hote Hain Hips Badhane Ke Tips Peeth Me Dard Ka Ilaj Hips Bada Karne Ki Medicine

Badhazmi Ka ilaj in Hindi Khatti Dakar and Loose Motion Acidity Treatment in Hindi Khatti Dakar Ka Gharelu ilaj