Motapay Ki Wajah In Urdu Pet Mota Hone Ki Wajah Motapa Kyo Badhta Hai Motapa Kaise Hota Hai In Hindi
Motapa Badhane Ki Wajah
Pait Kyun Banta Hai Mota Pait Kaise Hota Hai |
Motapa kis ko pasand hota hai? ye na sirf zahri shakhsiyat ko tabah kra deta hai balkay ye amraz ki jar bhi sabit hota hai kyun ki is say diabetes yani ziabetus, blood pressure yani buland fishar khoon, heart diseases yani amraz e qalb aur falij gharaz kay la tadad bimariyon ka khatra barh jata hai. Aur ye to sab he ko maloom hai kay motapa ab aik almi waba ban chuka hai aur guzishta saal ki aik report kay mutabiq motapay say sab say ziada mutasir mumalik mein Pakistan 9 number par hai. Wazan mein kami ka koi jadui hal nahi balkay tarz e zindagi mein tabdeeli he say aap apni shakhsiyat mein jadui asar jesi tabdeeli la sakte hain magar in say pehle aap ko ye janna chahiye kay akhir hum is ka shikar kesy hote hain? ziyada khanay kay sath iski chand heart angez wajuhat bhi hai jo ho sakta hai aap ko maloom he na hoon.
Kam Neend Motapay Ka Sabab
Raat ko 5:30 ghantay say kam neend say diabetes yani ziabetus aur motapay ka khatra bohat barh jata hai. Ye baat kuch arsa pehle America mein hone wali aik medical research yani tibbi tehqeeq mein samne ayi hai. Tehqeeq kay mutabiq aap chahay sehatmand khorak aur warzish ki adat kay aadi he kyon na hoon magar neend mutasir hone say jism ka nizam inhizazm mutasir hota hai jo wazan barhnay ka sabab ban jata hai.
Tehqeeq kay mutabiq kisi shakhs ki neend mutasir hone say uska metabolism rate 12% kam ho jata hai. Ye wo cheez hai jo jism kay afaal ko mamool kay mutabiq karne mein madad deti hai. Jesy phephron ko saans lene aur dil ko dharakne mein madad dene waghera. Agar iske rate mein kami ayi to tawanai kam kharach hone par jism ka wazan barhna shuru ho jata hai. Tehqeeq kay mutabiq munasib neend wo bhi raat mein jismani sehat ke liye intehai zarori hai.
Had Say Zyada Dieting Khawateen Kay Dimagh Ke Liye Nuqsan Deh
Had say zyada wazan kam karna dimagh ko mutasir karta hai jis say wo mayoosi, ishtial aur baatein bhoolne lagta hai. Ye baat United Kingdom yani Bartania mein hone wali aik tehqeeq mein samne aayi hai. Nutrition expert mahir e ghizaayat linda obrayen ki tehqeeq kay mutabiq had say zyada wazan kam karne say aane wali dimaghi tabdeeliyon say khawateen ki shaadiyan mutasir hui jabkay inke rozmarah kay kaam bhi mutasir hue. Linda o'brien ka kehna hay kay dieting say wazan munasib tarike say kam nahi ho pata jis kay bais khawateen kay mizaaj mein tabdeeli aa jati hai aur chirchari ho jati hain.
Comments
Post a Comment